Sunday, 25 December 2016

Waqt

Aaj firse jeene ka mann karta hai,
Iss lamhein mein yakeen karne ka mann karta hai.

Kaafi waqt guzra hai yaadon mein jeeye,
Kahin khoye hua tha mai iss bheed mein,
Ki najaane kab sahi waqt aayega,
Najaane kab ye waqt bhi guzar jaayega.

Par humara silsila toh yuhin chalta raha,
Thoda has diye aur thoda roh liye.
Najaane konsa pal zindagi ke iss kaagaz par likha jaayega,
Par mujhe yakeen hai ki ye waqt bhi guzar jaayega.

Aaj firse jeene ka mann karta hai,
Iss lamhein mein yakeen karne ka mann karta hai